Mirza Ghalib Shayari | Urdu Poetry | Season 1 Complete
Mirza Ghalib Shayari | Urdu Poetry | Season 1 Complete
Ghazal 1
bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
ek khel hai aurang-e-sulaiman mere nazdik
ek baat hai ejaz-e-masiha mere aage
juz nam nahin surat-e-alam mujhe manzur
juz wahm nahin hasti-e-ashiya mere aage
hota hai nihan gard mein sahra mere hote
ghista hai jabin KHak pe dariya mere aage
Ghazal 2
hazaron khwahishen aisi ki har KHwahish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle
Dare kyun mera qatil kya rahega us ki gardan par
wo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle
nikalna khuld se aadam ka sunte aae hain lekin
bahut be-abru ho kar tere kuche se hum nikle
bharam khul jae zalim tere qamat ki daraazi ka
agar is turra-e-pur-pech-o-kham ka pech-o-kham nikle
Ghazal 3
koi ummid bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati
maut ka ek din muayyan hai
nind kyun raat bhar nahin aati
aage aati thi haal-e-dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati
jaanta hun sawab-e-taat-o-zohd
par tabiat idhar nahin aati
hai kuchh aisi hi baat jo chup hun
warna kya baat kar nahin aati
Ghazal 4
dil-e-nadan tujhe hua kya hai
aakhir is dard ki dawa kya hai
hum hain mushtaq aur wo be-zar
ya ilahi ye majra kya hai
main bhi munh mein zaban rakhta hun
kash puchho ki muddaa kya hai
jab ki tujh bin nahin koi maujud
phir ye hangama ai KHuda kya hai
Help Us Improve This Article
Did you find an inaccuracy? We work hard to provide accurate and scientifically reliable information. If you have found an error of any kind, please let us know.
Add comment. we appropriate your effort.
If you have any news, helping material, etc, kindly share it with us at info@aamirranjha.com. We help others on behalf of you
Follow
Kar ke dakhal jannat me fir
Tujhe nikalne ki tarteeb hogi
Mile jannat ya jahannum shabbir
Bas Allah ki marzi hogi
Aaaaaaaahhhhhhhh aaaaaaaahhhhhhhh aaaaaaaahhhhhhhh
💯
Wah ghalib sahab
Please can you share all background music name it's humble request 🙏
Mirza Ghalib 👍🇮🇳🥭
My All time favourite
Mashallhah, Mirzajee, laakoon saal jiye. Aap jis Jannat mein hain, humein bhil le jao.
Jackson,USA
Very intelligent man
Dr.Shahina Matin. Waah Waah Behad Umda.
Great work man. Thanks for this work
Ghalib ke shaayari samajh ne ke liye ghalib banna pada ga
Kya baat hai ,Kya baat hai 💜💜
Please agr tarjuMa urdu me krty to acha hota….
Master Blaster Ghalib sb
Peerless Surreal Pleasure Peace
Every word to be inscribed in Gold
Laakhoun Salaam Ghalib sb
I love urdu poetry
Evergreen…. Superb.
WAh wah
Hum wahan hain jahan sey ham ko bhi,
Kuch hamari khaber nhi aati..
Vocabulary kon si use kra hai apne?
👌so soothing
Bhai background music k lea konsa all use kerta hai guid me
'' مدت ہوئی ہے یار کو مہماں کیے ہوے ،،
غالب کی یہ غزل اسی انداز میں مطلوب ہے براے مہربانی…
حق ادا کر دیا آپ نے بھائی..
بہت خوب جتنی بھی تعریف کی جاے کم ہے
کیا یہ بتا سکتے ہیں کی آواز کس کی ہے
Beautiful shayari